Tuesday, 3 February 2015

Native People's Party :

Ravidasia Ye Panth Nahi Poorn Satya Hindu Dharm :

Aaj Native Mahan Saint Guru Ravidasji ki Jayanti hai. Aaj Maagh Poornima hai aur Satya Hindu Dharm ki maanyata ke anusar aaj ke din hi Mahan Guru Ravidasji ka janm huva tha.

Jab jab hamare Native mahan saint Hindu Dharm ko punarstapit karate rahe tab tab Videshi Brahmin unke Dharm Vaani ko Panth kahate gaye taki Satya Hindu Dharm ki hani ho aur Native Hindu samaj en pantho me bata rahe . kabi ve Kabir Panth kahate rahe . kabhi Ravidasiya panth kahate rahe , kabhi Mahanubhav , Bhagwat , Varkari Panth kahate rahe . En sab ka ek hi kaaran tha Videshi Brahmin unke Brahmin Dharm ko Hindu Dharm batana chahate the aur native Hindu Dharm ko Panth .

Par ab ese hoga nahi kyu ki Videshi Brahmin Dharm alag hai aur Native Hindu Dharm alag hai. Jo Native Sadhu , Saint baate hai vohi Satya Hindu Dharm hai aur jo Videshi Brahmin batate hai vo Videshi Brahmin Dharm hai.

Kya kisi Native Sadhu, Saint ne kaha hai Varn mano ? Nahi . Kya kisi Native Saint ne kaha hai Jaati mano ? Nahi . Kyu ki Native Sadhu , Saint jo dharm janate the vo Native Satya Hindu Dharm tha .

Videshi Brahmin Varn , jaati ka Dharm batate hai kyu ki vo unka dharm hai  hamara nahi. Esliye Brahmin Dharm Videshi Brahmino ko hai. Hindu Dharm Hindusthaniyo ka hai . Yahi baat samay smay par hamare Saint Kabir , Saint Ravidas , Sanit Namdev , Saint Tukaram , Saint Narhari , Saint Chokhoba , Saint Janabai , aur Guru Nanak batate rahe hai yahi Satya Hindu Dharm hai unke naam lagakar use Panth na banavo . Yahi aaj Satya Hindu Dharm ka Guru Ravidasji ke Jayanti par sandesh hai .

Hindu Vohi , Jo Brahmin Nahi .

Man Changa to Katuti me Ganga .

Mahan Guru Saint Ravidasji ke Jayanti par Badhai aur mangal kamana !

Nv. D.D.Raut , President , NPP

Our Message to Nation : Janeu Chhodo , Bharat Jodo

No comments:

Post a Comment